Ye BigPcTips par Photoshop se related Pehle
post hai jismay may aapko Photoshop me Passport size Photo Kaise Banaye
ke baare me hai. Aap apne Computer ya Laptop par Photoshop ka Istemal kar ke
apne liye Passport size photo Bana sakte hai. Iske liye is post me Kush simple
Method diye Gaye hai Jisko follow kar ke aap bahut aasani se ye kar sakte hai.
Passport size photo bnane ke liye Aapko Kya Kya chahiye –
1) Passport
size photo bnane ke liye aapke pass Computer ya laptop hone chahiye jismay Adobe
Photoshop installed hona chahiye. Agar aapke pass Photoshop nahi hai to aap
Online Passport size Images be Bana sakte hai. Mera Next Post Online Passport size Images Kaise Banaye Padhe.
2) Ek
clear or full Face Picture jisko aap Crop kar ke uske Passport size Bnaye jaa
sake.
Photoshop me Passport size Photo Kaise Banaye –
Step 1.
Picture Open Kare –
Sabse Pehle aap Photoshop Open kare
Press Ctrl+O Key se apni Photo select
kare.
Step 2.
Start New Layer –
Picture select karne ke Baad Press Ctrl+N
Key se ek new Layer bnaye. Layer ka size – Width – 2 inches, height – 2 inches,
resolution – 200 pixel/inch set kare.
Step 3.
Image Crop kare –
Ab aap Toolbox se Rectangular
Marquee Tool Select kare or apni Image par path select kare. Ab aap Move
Tool ko select kare or select ki hue path ko Utah kar new layer par daal
de. New layer par passport size image ko Ctrl+T - Free
Transform Tool se Layer Size par Fit
Kare.
Step 4.
Jyada Passport size Images Bnaye –
Aap ek new Layer bnaye layer ka size aap apni
pics ki Quantity ke hisab se select kar sakte hai. Maine yha 1920*1080 ka size
liya hai.
Next aapne jo Passport size image bnaye hai
unko Move Tool se select kar ke New Layer par Daal de aapko jitney Passport
Size Images chahiye aap uthne Time Move Tool se Utah kar New Layer Par Daal de.
Aapke Passport size Picture ready hai. Last
Step aap Ctrl + Shift + S key se apni Pictures ko save karle.